talash karti hai usko nazar kai din se
talāsh kartī hai us ko nazar ka.ī din se
akelā kaaT rahā huuñ safar ka.ī din se
na jaane kaun sī majbūriyoñ meñ qaid haiñ vo
parinde lauT ke aa.e na ghar ka.ī din se
mire ḳhudā ye kahīñ aarzū kī maut na ho
maiñ us ke haal se huuñ be-ḳhabar ka.ī din se
'ajīb rut hai añdhere base haiñ āñkhoñ meñ
hamāre ḳhvāb haiñ vahshat-asar ka.ī din se
amīr-e-shahr ko bhī sūliyāñ sajānī haiñ
mujhe bhī bojh sā lagtā hai sar ka.ī din se
kabhī 'nadīm' jahāñ raushnī utartī thī
udaas lagte haiñ vo bām-o-dar ka.ī din se
talash karti hai us ko nazar kai din se
akela kaT raha hun safar kai din se
na jaane kaun si majburiyon mein qaid hain wo
parinde lauT ke aae na ghar kai din se
mere KHuda ye kahin aarzu ki maut na ho
main us ke haal se hun be-KHabar kai din se
'ajib rut hai andhere base hain aankhon mein
hamare KHwab hain wahshat-asar kai din se
amir-e-shahr ko bhi suliyan sajaani hain
mujhe bhi bojh sa lagta hai sar kai din se
kabhi 'nadim' jahan raushni utarti thi
udas lagte hain wo baam-o-dar kai din se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.