talash-o-fikr mein nazron ki hairani nahin jati
talāsh-o-fikr meñ nazroñ kī hairānī nahīñ jaatī
jo manzil se guzartā huuñ vo pahchānī nahīñ jaatī
ajab dastūr-e-ālam hai ajab insāf-e-duniyā hai
salīb-o-dār par haq baat bhī maanī nahīñ jaatī
zamāne kī sadā.eñ aap to pahchān lete haiñ
mire hī dard kī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
matā-e-zindagī luT jā.egī ma.alūm hai lekin
havas vāloñ kī hirs-e-daulat-e-fānī nahīñ jaatī
hue qasr-o-mahal ta.amīr jin ke dam se duniyā meñ
unhīñ kī aaj dekho ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
zarūrī hai koī hal DhūñDhnā tadbīr se is kā
pareshānī ke kahne se pareshānī nahīñ jaatī
'nazar' ḳhud-e'timādī ik dalīl-e-kāmyābī hai
kabhī ḳhālī kisī kī sa.ī-e-imkānī nahīñ jaatī
talash-o-fikr mein nazron ki hairani nahin jati
jo manzil se guzarta hun wo pahchani nahin jati
ajab dastur-e-alam hai ajab insaf-e-duniya hai
salib-o-dar par haq baat bhi mani nahin jati
zamane ki sadaen aap to pahchan lete hain
mere hi dard ki aawaz pahchani nahin jati
mata-e-zindagi luT jaegi malum hai lekin
hawas walon ki hirs-e-daulat-e-fani nahin jati
hue qasr-o-mahal tamir jin ke dam se duniya mein
unhin ki aaj dekho KHana-virani nahin jati
zaruri hai koi hal DhunDhna tadbir se is ka
pareshani ke kahne se pareshani nahin jati
'nazar' KHud-e'timadi ek dalil-e-kaamyabi hai
kabhi KHali kisi ki sai-e-imkani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.