talatum-KHez manzar ho gai hain
talātum-ḳhez manzar ho ga.ī haiñ
mirī āñkheñ samundar ho ga.ī haiñ
uḌānā chāhtī haiñ ḳhaak merī
havā.eñ bhī sitam-gar ho ga.ī haiñ
tirī mahkī huī zulfoñ ko chhū kar
ghaTā.eñ rūh-parvar ho ga.ī haiñ
havā-e-garm terī sho.alagī se
zamīneñ jal ke patthar ho ga.ī haiñ
ujāle baḌh rahe haiñ merī jānib
duā.eñ bār-āvar ho ga.ī haiñ
tire jalvoñ kī tābānī salāmat
mirī shāmeñ munavvar ho ga.ī haiñ
yahī ġham hai ki 'nāzir' merī aaheñ
nikal kar ghar se bāhar ho ga.ī haiñ
talatum-KHez manzar ho gai hain
meri aankhen samundar ho gai hain
uDana chahti hain KHak meri
hawaen bhi sitam-gar ho gai hain
teri mahki hui zulfon ko chhu kar
ghaTaen ruh-parwar ho gai hain
hawa-e-garm teri shoalagi se
zaminen jal ke patthar ho gai hain
ujale baDh rahe hain meri jaanib
duaen bar-awar ho gai hain
tere jalwon ki tabani salamat
meri shamen munawwar ho gai hain
yahi gham hai ki 'nazir' meri aahen
nikal kar ghar se bahar ho gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.