talatum mein hai ab kashti kinara kis ko milta hai
talatum mein hai ab kashti kinara kis ko milta hai
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
talātum meñ hai ab kashtī kinārā kis ko miltā hai
jo sāhil tak pahuñch jaa.e vo dhārā kis ko miltā hai
nikalne ko bhañvar se yuuñ to kitnī kashtiyāñ niklīñ
magar ab dekhnā ye hai kinārā kis ko miltā hai
muqaddar apnā apnā hai ye qismat apnī apnī hai
na jaane un kī bāhoñ kā sahārā kis ko miltā hai
bahāreñ phuul taare chāñdnī rāteñ hasīñ manzar
chale aao ye mauqa phir dobāra kis ko miltā hai
tirī mahfil meñ dekheñ aaj rusvā kaun hotā hai
bharī mahfil se uThne kā ishāra kis ko miltā hai
umīdeñ le kar aa.e haiñ na jaane kitne parvāne
magar jalne kā dekheñ ab ishāra kis ko miltā hai
ḳhushī kī halkī chhāñv meñ guzar mumkin nahīñ 'tishna'
alam ke gahre saa.e se kināra kis ko miltā hai
talatum mein hai ab kashti kinara kis ko milta hai
jo sahil tak pahunch jae wo dhaara kis ko milta hai
nikalne ko bhanwar se yun to kitni kashtiyan niklin
magar ab dekhna ye hai kinara kis ko milta hai
muqaddar apna apna hai ye qismat apni apni hai
na jaane un ki bahon ka sahaara kis ko milta hai
bahaaren phul tare chandni raaten hasin manzar
chale aao ye mauqa phir dobara kis ko milta hai
teri mahfil mein dekhen aaj ruswa kaun hota hai
bhari mahfil se uThne ka ishaara kis ko milta hai
umiden le kar aae hain na jaane kitne parwane
magar jalne ka dekhen ab ishaara kis ko milta hai
KHushi ki halki chhanw mein guzar mumkin nahin 'tishna'
alam ke gahre sae se kinara kis ko milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.