talab kiya hai hamein waqt ne talab ki tarah
talab kiyā hai hameñ vaqt ne talab kī tarah
na.e mizāj kī sūrat na.e adab kī tarah
badal chukī hai zamāne meñ ye to sab kī tarah
hayāt apnī guzāro na be-adab kī tarah
ḳhudā gavāh ki ab aap maat khā.eñge
kisī tarah se bhī dījegā aap ab kī tarah
kisī kī raat hai raushan na.e charāġhoñ se
hamārā din hai abhī tak siyāh shab kī tarah
kisī kī chashm se sairāb ho ke piitā huuñ
dikhā.ī detā huuñ duniyā ko tishna-lab kī tarah
ye vāqi.a hai ki tabdīliyoñ kā haamī huuñ
mirā mizāj badaltā hai roz-o-shab kī tarah
hazār kahne ko us ne ḳhudā banā Daale
misāl de nahīñ paayā vo mere rab kī tarah
ḳhudā ne mujh ko navāzā hai apnī rahmat se
mujhe samajhiye na 'mahmūd' aap sab kī tarah
talab kiya hai hamein waqt ne talab ki tarah
nae mizaj ki surat nae adab ki tarah
badal chuki hai zamane mein ye to sab ki tarah
hayat apni guzaro na be-adab ki tarah
KHuda gawah ki ab aap mat khaenge
kisi tarah se bhi dijega aap ab ki tarah
kisi ki raat hai raushan nae charaghon se
hamara din hai abhi tak siyah shab ki tarah
kisi ki chashm se sairab ho ke pita hun
dikhai deta hun duniya ko tishna-lab ki tarah
ye waqia hai ki tabdiliyon ka hami hun
mera mizaj badalta hai roz-o-shab ki tarah
hazar kahne ko us ne KHuda bana Dale
misal de nahin paya wo mere rab ki tarah
KHuda ne mujh ko nawaza hai apni rahmat se
mujhe samajhiye na 'mahmud' aap sab ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.