Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talab-nawaz ishaare hazar milte hain

Johar Siddiqi

talab-nawaz ishaare hazar milte hain

Johar Siddiqi

MORE BYJohar Siddiqi

    talab-navāz ishāre hazār milte haiñ

    jo ho nazar to nazāre hazār milte haiñ

    javāñ ho azm-e-safar to añdherī rātoñ meñ

    charāġh-e-rāh sitāre hazār milte haiñ

    baḌhe safīna milā kar jo aañkh tūfāñ se

    to mauj-e-ġham meñ kināre hazār milte haiñ

    junūñ ko gesū-e-barham ke saa.e hai talāsh

    vagarna zulf sañvāre hazār milte haiñ

    niyāz-mand ho shāyān-e-chashm-e-nāz koī

    nigāh-e-nāz ke maare hazār milte haiñ

    agar ḳhulūs-e-safar ho to Thokaroñ se bhī

    musāfiroñ ko sahāre hazār milte haiñ

    koī kalī bhī sharīk-e-ḳhizāñ nahīñ 'jauhar'

    chaman ke rāj-dulāre hazār milte haiñ

    talab-nawaz ishaare hazar milte hain

    jo ho nazar to nazare hazar milte hain

    jawan ho azm-e-safar to andheri raaton mein

    charagh-e-rah sitare hazar milte hain

    baDhe safina mila kar jo aankh tufan se

    to mauj-e-gham mein kinare hazar milte hain

    junun ko gesu-e-barham ke sae ki hai talash

    wagarna zulf sanware hazar milte hain

    niyaz-mand ho shayan-e-chashm-e-naz koi

    nigah-e-naz ke mare hazar milte hain

    agar KHulus-e-safar ho to Thokaron se bhi

    musafiron ko sahaare hazar milte hain

    koi kali bhi sharik-e-KHizan nahin 'jauhar'

    chaman ke raj-dulare hazar milte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now