talab roTi ki taDpae to KHatre bhul jate hain
talab roTī kī taḌpā.e to ḳhatre bhuul jaate haiñ
parindoñ ko shikārī ke shikanje bhuul jaate haiñ
zamāne ne azal se hī ye apnī riit hai rakkhī
jo sastā kuchh mayassar ho to mahñge bhuul jaate haiñ
mashaqqat kī nahaj ik din unheñ kundan banātī hai
jo bachche muflisī kī zad meñ baste bhuul jaate haiñ
huā hai ḳhuun kā pyāsā yahāñ par har koī banda
havas daulat kī baḌh jaa.e to apne bhuul jaate haiñ
sabhī kāmoñ ko apne ham nibhāte haiñ salīqe se
ulajh kar terī yādoñ meñ nivāle bhuul jaate haiñ
tū apnī be-navā.ī par ziyāda ġham na kar 'nāsir'
lage jab ishq kī Thokar to raste bhuul jaate haiñ
talab roTi ki taDpae to KHatre bhul jate hain
parindon ko shikari ke shikanje bhul jate hain
zamane ne azal se hi ye apni rit hai rakkhi
jo sasta kuchh mayassar ho to mahnge bhul jate hain
mashaqqat ki nahaj ek din unhen kundan banati hai
jo bachche muflisi ki zad mein baste bhul jate hain
hua hai KHun ka pyasa yahan par har koi banda
hawas daulat ki baDh jae to apne bhul jate hain
sabhi kaamon ko apne hum nibhate hain saliqe se
ulajh kar teri yaadon mein niwale bhul jate hain
tu apni be-nawai par ziyaada gham na kar 'nasir'
lage jab ishq ki Thokar to raste bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.