talKH haalat mein jine ka sabab hote hain
talḳh hālāt meñ jiine kā sabab hote haiñ
ḳhat jo chhup-chhup ke likhe jaa.eñ ajab hote haiñ
koī ehsās kī gahrā.ī se mahsūs kare
ik na ik zaḳhm liye ruuh meñ sab hote haiñ
in añdheroñ se na ḳhā.if ho ki kuchh vaqt ke baad
ye añdhere hī ujāle kā sabab hote haiñ
aao koshish to kareñ gutthiyāñ suljhāne kī
mas.ale kaise bhī hoñ ġhaur-talab hote haiñ
bas yahī soch ke detā huuñ tasallī dil ko
iḳhtilāfāt bhī rishtoñ ke sabab hote haiñ
talKH haalat mein jine ka sabab hote hain
KHat jo chhup-chhup ke likhe jaen ajab hote hain
koi ehsas ki gahrai se mahsus kare
ek na ek zaKHm liye ruh mein sab hote hain
in andheron se na KHaif ho ki kuchh waqt ke baad
ye andhere hi ujale ka sabab hote hain
aao koshish to karen gutthiyan suljhane ki
masale kaise bhi hon ghaur-talab hote hain
bas yahi soch ke deta hun tasalli dil ko
iKHtilafat bhi rishton ke sabab hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.