talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh
talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
talḳh lahja jis kī fitrat hai usī naarī kā bojh
maiñ uThā.e phir rahā huuñ ziist bechārī kā bojh
kaTghare meñ adl kī ḳhātir khaḌā hai be-qusūr
Dho rahā hai ek bebas kab se lāchārī kā bojh
is liye pal bhar ko maiñ sotā nahīñ ārām se
le ke sotā huuñ hamesha sar pe bedārī kā bojh
zindagī kaise guzārūñ maiñ to ik mazdūr huuñ
ik taraf beTī kī shādī us pe bīmārī kā bojh
us ko āñkhoñ ne nahīñ dekhā to yuuñ lagtā rahā
jaise āñkhoñ ke saroñ par ho jafā-kārī kā bojh
aur mat rakkho mire kāñdhoñ pe zimmedāriyāñ
pahle hī kuchh kam nahīñ hai roTī tarkārī kā bojh
tajarbe ke saath kījiye misra-e-sānī qubūl
sab se bhārī hai to hai duniyā meñ ḳhuddārī kā bojh
bār-e-fan Dhone kī tāqat de vagarna ai karīm
nā-tavāñ kaise uThā saktā hai fankārī kā bojh
bādshāh-e-vaqt haiñ be-fikr aur tāhir-'sa.ūd'
naujavāñ dil par liye phirte haiñ bekārī kā bojh
talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh
main uThae phir raha hun zist bechaari ka bojh
kaTghare mein adl ki KHatir khaDa hai be-qusur
Dho raha hai ek bebas kab se lachaari ka bojh
is liye pal bhar ko main sota nahin aaram se
le ke sota hun hamesha sar pe bedari ka bojh
zindagi kaise guzarun main to ek mazdur hun
ek taraf beTi ki shadi us pe bimari ka bojh
us ko aankhon ne nahin dekha to yun lagta raha
jaise aankhon ke saron par ho jafa-kari ka bojh
aur mat rakkho mere kandhon pe zimmedariyan
pahle hi kuchh kam nahin hai roTi tarkari ka bojh
tajarbe ke sath kijiye misra-e-sani qubul
sab se bhaari hai to hai duniya mein KHuddari ka bojh
bar-e-fan Dhone ki taqat de wagarna ai karim
na-tawan kaise uTha sakta hai fankari ka bojh
baadshah-e-waqt hain be-fikr aur tahir-'saud'
naujawan dil par liye phirte hain bekari ka bojh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.