talKH shirin misron ke zaiqe badalte hain
talḳh shīrīñ misroñ ke zā.iqe badalte haiñ
jaise jaise ġhazloñ meñ qāfiye badalte haiñ
kal talak to vo ham se baat ko taraste the
dekh kar jo ab ham ko rāste badalte haiñ
dukh za.iif maañ kā ho yā javān beva kā
dukh to dukh hī hote haiñ marsiye badalte haiñ
aasrā nahīñ miltā jab koī hasīnoñ ko
mehrbān āñkhoñ ke zāviye badalte haiñ
baar baar vo dil ko bevafā batātā hai
baar baar dil ke ham tajziye badalte haiñ
vaise hī vo rahte haiñ jaisī un kī fitrat hai
kab bhalā vo apnoñ ke vāste badalte haiñ
talKH shirin misron ke zaiqe badalte hain
jaise jaise ghazlon mein qafiye badalte hain
kal talak to wo hum se baat ko taraste the
dekh kar jo ab hum ko raste badalte hain
dukh zaif man ka ho ya jawan bewa ka
dukh to dukh hi hote hain marsiye badalte hain
aasra nahin milta jab koi hasinon ko
mehrban aankhon ke zawiye badalte hain
bar bar wo dil ko bewafa batata hai
bar bar dil ke hum tajziye badalte hain
waise hi wo rahte hain jaisi un ki fitrat hai
kab bhala wo apnon ke waste badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.