talKHi-e-gham mere ehsas ka sarmaya hai
talḳhī-e-ġham mire ehsās kā sarmāyā hai
husn se maiñ ne ye in.ām-e-vafā paayā hai
jab kabhī ishrat-e-rafta kā ḳhayāl aayā hai
maiñ nai pahroñ dil-e-be-tāb ko samjhāyā hai
haa.e ye be-ḳhudī ishq ko ma.alūm nahīñ
kaun aayā hai kab aayā hai kahāñ aayā hai
dil ko sīmāb sifat kah ke guzarne vaale
ḳhud pe taḌpā hai ki tū ne use taḌpāyā hai
kāfir-e-ishq na samjhūñ to use kyā samjhūñ
mere iḳhlās ko ik dost ne Thukrāyā hai
apnī is haar ko maiñ jiit na kyuuñ kar samjhūñ
ḳhud ko khoyā hai to ai dost tujhe paayā hai
tum mire hāl-e-pareshāñ pe na tanqīd karo
tum ne dāman kabhī kāñToñ meñ bhī uljhāyā hai
manzil-e-dil bhī vahī kū-e-malāmat bhī vahī
ishq kā jazba-e-be-tāb kahāñ laayā hai
aañkh jhapkegī to shīrāza bikhar jā.egā
kis kī āvāz thī jis ne mujhe chauñkāyā hai
jis ko kahte haiñ ġhazal us kī badaulat hī 'urūj'
ruḳh-e-urdu pe ye rañg aur nikhār aayā hai
talKHi-e-gham mere ehsas ka sarmaya hai
husn se main ne ye inam-e-wafa paya hai
jab kabhi ishrat-e-rafta ka KHayal aaya hai
main nai pahron dil-e-be-tab ko samjhaya hai
hae ye be-KHudi ishq ko malum nahin
kaun aaya hai kab aaya hai kahan aaya hai
dil ko simab sifat kah ke guzarne wale
KHud pe taDpa hai ki tu ne use taDpaya hai
kafir-e-ishq na samjhun to use kya samjhun
mere iKHlas ko ek dost ne Thukraya hai
apni is haar ko main jit na kyun kar samjhun
KHud ko khoya hai to ai dost tujhe paya hai
tum mere haal-e-pareshan pe na tanqid karo
tum ne daman kabhi kanTon mein bhi uljhaya hai
manzil-e-dil bhi wahi ku-e-malamat bhi wahi
ishq ka jazba-e-be-tab kahan laya hai
aankh jhapkegi to shiraaza bikhar jaega
kis ki aawaz thi jis ne mujhe chaunkaya hai
jis ko kahte hain ghazal us ki badaulat hi 'uruj'
ruKH-e-urdu pe ye rang aur nikhaar aaya hai
- Book : Lahje ke Chiraag (Pg. 67)
- Author : Urooj Zaidi
- Publication : Irfan Zaidi, Rampur (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.