talKHi-e-jabr-e-musalsal se bhare hain hum log
talḳhī-e-jabr-e-musalsal se bhare haiñ ham log
laao koī bhī kasauTī ki khare haiñ ham log
dekhte sab haiñ magar koī nahīñ Takrātā
dahr meñ sūrat-e-kohsār dhare haiñ ham log
vo mah-o-mehr tarāshe the hamīñ ne ik din
in dinoñ jin ke ujāloñ se pare haiñ ham log
vādī-e-shauq meñ kāñTe to nahīñ Takrā.e
haañ koī phuul uḌā hai to Dare haiñ ham log
aaj bhī tesha-e-ayyām kī zad par 'ishrat'
kāsa-e-qais kī mānind dhare haiñ ham log
talKHi-e-jabr-e-musalsal se bhare hain hum log
lao koi bhi kasauTi ki khare hain hum log
dekhte sab hain magar koi nahin Takraata
dahr mein surat-e-kohsar dhare hain hum log
wo mah-o-mehr tarashe the hamin ne ek din
in dinon jin ke ujalon se pare hain hum log
wadi-e-shauq mein kanTe to nahin Takrae
han koi phul uDa hai to Dare hain hum log
aaj bhi tesha-e-ayyam ki zad par 'ishrat'
kasa-e-qais ki manind dhare hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.