talKHi-e-mai mein zara talKHi-e-dil bhi gholen
talḳhī-e-mai meñ zarā talḳhī-e-dil bhī gholeñ
aur kuchh der yahāñ baiTh leñ pī leñ ro leñ
zaḳhm-e-nazzāra liye shahr meñ ghūmeñ shab-bhar
raunaqeñ dekh ke duniyā kī fasurda ho leñ
phir girāñ-bār hai kuchh ġham kā sulagtā mausam
phir dil-o-dīda kā afsāna kisī par kholeñ
koī to shaḳhs ho jī-jān se chāheñ jis ko
koī to jān-e-tasavvur ho ki jis ke ho leñ
aah ye dil kī kasak haa.e ye āñkhoñ kī jalan
niiñd aa jaa.e agar aaj to ham bhī so leñ
des pardes phireñ ajnabī sūrat le kar
ḳhushk pattoñ kī tarah saath havā ke ho leñ
talKHi-e-mai mein zara talKHi-e-dil bhi gholen
aur kuchh der yahan baiTh len pi len ro len
zaKHm-e-nazzara liye shahr mein ghumen shab-bhar
raunaqen dekh ke duniya ki fasurda ho len
phir giran-bar hai kuchh gham ka sulagta mausam
phir dil-o-dida ka afsana kisi par kholen
koi to shaKHs ho ji-jaan se chahen jis ko
koi to jaan-e-tasawwur ho ki jis ke ho len
aah ye dil ki kasak hae ye aankhon ki jalan
nind aa jae agar aaj to hum bhi so len
des pardes phiren ajnabi surat le kar
KHushk patton ki tarah sath hawa ke ho len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.