talKHi-e-zahr abhi shamil-e-jaan rahne de
talḳhī-e-zahr abhī shāmil-e-jāñ rahne de
mujh pe jo guzrī hai kuchh us kā nishāñ rahne de
ye bujhe jaam ye roī huī sham.eñ na haTā
chand ghaḌiyāñ ḳhalish-e-aish-e-garāñ rahne de
dekh ujḌe hue manzar abhī dil-soz nahīñ
aur kuchh roz yūñhī rañg-e-ḳhizāñ rahne de
kuchh to raushan hoñ mire jism kī tārīk rageñ
mauja-e-ḳhūñ pe koī sham-e-ravāñ rahne de
vo tire dard kī gahrā.ī kahīñ dekh na le
nauha-e-zaḳhm ko mahrūm-e-zabāñ rahne de
chand gumnām sī yādoñ kī mahak hai dil meñ
is ḳharābe meñ ye gul-hā-e-ḳhizāñ rahne de
talKHi-e-zahr abhi shamil-e-jaan rahne de
mujh pe jo guzri hai kuchh us ka nishan rahne de
ye bujhe jam ye roi hui shamen na haTa
chand ghaDiyan KHalish-e-aish-e-garan rahne de
dekh ujDe hue manzar abhi dil-soz nahin
aur kuchh roz yunhi rang-e-KHizan rahne de
kuchh to raushan hon mere jism ki tarik ragen
mauja-e-KHun pe koi sham-e-rawan rahne de
wo tere dard ki gahrai kahin dekh na le
nauha-e-zaKHm ko mahrum-e-zaban rahne de
chand gumnam si yaadon ki mahak hai dil mein
is KHarabe mein ye gul-ha-e-KHizan rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.