talKHi hui to lab pe tarawaT nahin rahi
talḳhī huī to lab pe tarāvaT nahīñ rahī
chehre pe bhole-pan kī banāvaT nahīñ rahī
jab 'āshiqī kā baaġh ye vīrān ho gayā
to dar pe pahle jaisī sajāvaT nahīñ rahī
mazmūn jab se aap ke ḳhat kā badal gayā
vaisī hasīn tab se likhāvaT nahīñ rahī
khiḌkī ke apnī us ne bhī parde girā liye
merī bhī rāste kī rukāvaT nahīñ rahī
zīnat na.e makān kī jab se vo ban ga.e
qīmat meñ un kī tab se girāvaT nahīñ rahī
hālāt zindagī meñ mire aise ho ga.e
jis meñ mile usī se milāvaT nahīñ rahī
jab tak thā narm sirf sabhī toḌte rahe
patthar huā ye dil to ghisāvaT nahīñ rahī
majbūriyoñ se haath milāte 'abhay' rahe
thaknā alag hai baat thakāvaT nahīñ rahī
talKHi hui to lab pe tarawaT nahin rahi
chehre pe bhole-pan ki banawaT nahin rahi
jab 'ashiqi ka bagh ye viran ho gaya
to dar pe pahle jaisi sajawaT nahin rahi
mazmun jab se aap ke KHat ka badal gaya
waisi hasin tab se likhawaT nahin rahi
khiDki ke apni us ne bhi parde gira liye
meri bhi raste ki rukawaT nahin rahi
zinat nae makan ki jab se wo ban gae
qimat mein un ki tab se girawaT nahin rahi
haalat zindagi mein mere aise ho gae
jis mein mile usi se milawaT nahin rahi
jab tak tha narm sirf sabhi toDte rahe
patthar hua ye dil to ghisawaT nahin rahi
majburiyon se hath milate 'abhay' rahe
thakna alag hai baat thakawaT nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.