talKHi jo mere dil mein gham-e-zist ne gholi
talḳhī jo mire dil meñ ġham-e-zīst ne gholī
vo maiñ ne tamanna kī halāvat meñ samo lī
chhiḌkā mire dāman pe mirā ḳhūn-e-tamannā
kyā aise hī hotī hai tire raaj meñ holī
pakḌā hī gayā chor tavajjoh kā sar-e-bazm
khelī thī nigāhoñ se mirī āñkh-micholī
yuuñ mast nigāhoñ se na kar dast-darāzī
pairāhan-e-tamkīñ kī masak jaa.e na cholī
jo us ke irāde meñ na marham thī na nashtar
maiñ ne vo nazar aap hī siine meñ chubho lī
gulshan thā na mahfil thī na saaqī thā na 'maikash'
jhapkā ke zarā maiñ ne palak aañkh jo kholī
talKHi jo mere dil mein gham-e-zist ne gholi
wo main ne tamanna ki halawat mein samo li
chhiDka mere daman pe mera KHun-e-tamanna
kya aise hi hoti hai tere raj mein holi
pakDa hi gaya chor tawajjoh ka sar-e-bazm
kheli thi nigahon se meri aankh-micholi
yun mast nigahon se na kar dast-daraazi
pairahan-e-tamkin ki masak jae na choli
jo us ke irade mein na marham thi na nashtar
main ne wo nazar aap hi sine mein chubho li
gulshan tha na mahfil thi na saqi tha na 'maikash'
jhapka ke zara main ne palak aankh jo kholi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.