talKHiyon ke shahr mein yun naghma-KHwan koi to ho
talḳhiyoñ ke shahr meñ yuuñ naġhma-ḳhvāñ koī to ho
dil-rubā shīrīñ suḳhan shīrīñ zabāñ koī to ho
āb-o-gil kī tishnagī par mehrbāñ koī to ho
rang-o-bū kī barhamī kā rāz-dāñ koī to ho
Duub jaane do ubhartā hai na.e āfāq par
sub.h jis par ho fidā aisā jahāñ koī to ho
har-nafas taaza kasak taaza jigar taaza lahū
yaad kahtī hai purānī dāstāñ koī to ho
jaate jaate kah ga.ī kānoñ meñ kāñToñ ke bahār
phuul to khilte raheñge pāsbāñ koī to ho
bām-o-dar kī be-sadā begānagī Dasne lagī
DhūñDiye aisī jagah apnā jahāñ koī to ho
āgahī to sarhadoñ kī qaid se āzād hai
laakh chāhe kam-nigāhī āsmāñ koī to ho
ḳhvāhishoñ meñ mashvare haiñ is bhare bāzār meñ
dil aTak jaa.e jahāñ aisī dukāñ koī to ho
baat kahne kā maza hai baat sunñe kā maza
ham-suḳhan koī to hotā ham-zabāñ koī to ho
apnī apnī chāhateñ haiñ apnī apnī ne.amateñ
ham bhī chāheñ bijliyāñ bhī āshiyāñ koī to ho
be-yaqīnī se yaqīñ ko zindagī miltī rahī
āgahī kī dilbarī kā naġhma-ḳhvāñ koī to ho
talKHiyon ke shahr mein yun naghma-KHwan koi to ho
dil-ruba shirin suKHan shirin zaban koi to ho
aab-o-gil ki tishnagi par mehrban koi to ho
rang-o-bu ki barhami ka raaz-dan koi to ho
Dub jaane do ubharta hai nae aafaq par
subh jis par ho fida aisa jahan koi to ho
har-nafas taza kasak taza jigar taza lahu
yaad kahti hai purani dastan koi to ho
jate jate kah gai kanon mein kanTon ke bahaar
phul to khilte rahenge pasban koi to ho
baam-o-dar ki be-sada beganagi Dasne lagi
DhunDiye aisi jagah apna jahan koi to ho
aagahi to sarhadon ki qaid se aazad hai
lakh chahe kam-nigahi aasman koi to ho
KHwahishon mein mashware hain is bhare bazar mein
dil aTak jae jahan aisi dukan koi to ho
baat kahne ka maza hai baat sunne ka maza
ham-suKHan koi to hota ham-zaban koi to ho
apni apni chahaten hain apni apni neamaten
hum bhi chahen bijliyan bhi aashiyan koi to ho
be-yaqini se yaqin ko zindagi milti rahi
aagahi ki dilbari ka naghma-KHwan koi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.