Talne ka yun faqir nahin hai ye ishq hai
Talne kā yuuñ faqīr nahīñ hai ye 'ishq hai
ye jo na.ī ġhazal kī zamīñ hai ye 'ishq hai
duniyā meñ kitnā husn hai mujh ko nahīñ pata
vallāh gar zarā bhī kahīñ hai ye 'ishq hai
maiñ is jahāñ kā sab se amiir aadmī huuñ yaar
tum ne banā diyā hai yaqīñ hai ye 'ishq hai
maġhrūr jis ko tū ne kahā thā vo mar chukā
qadmoñ meñ dekh kis kī jabīñ hai ye 'ishq hai
ham-zād hai azal se mirā rūh-e-kā.enāt
ye maiñ huuñ dūsrā jo makīñ hai ye 'ishq hai
kal jo milā thā maiñ huuñ vahī boriyā-nashīñ
duniyā tamām zer-e-nagīñ hai ye 'ishq hai
us shaḳhs ko yaqīn dilā.eñ to kis tarah
har shaḳhs ko agarche yaqīñ hai ye 'ishq hai
Talne ka yun faqir nahin hai ye 'ishq hai
ye jo nai ghazal ki zamin hai ye 'ishq hai
duniya mein kitna husn hai mujh ko nahin pata
wallah gar zara bhi kahin hai ye 'ishq hai
main is jahan ka sab se amir aadmi hun yar
tum ne bana diya hai yaqin hai ye 'ishq hai
maghrur jis ko tu ne kaha tha wo mar chuka
qadmon mein dekh kis ki jabin hai ye 'ishq hai
ham-zad hai azal se mera ruh-e-kaenat
ye main hun dusra jo makin hai ye 'ishq hai
kal jo mila tha main hun wahi boriya-nashin
duniya tamam zer-e-nagin hai ye 'ishq hai
us shaKHs ko yaqin dilaen to kis tarah
har shaKHs ko agarche yaqin hai ye 'ishq hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 38)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.