talwar khinchte hue paya gaya mujhe
talvār khīñchte hue paayā gayā mujhe
qātil banā ke hosh meñ laayā gayā mujhe
merā hī ḳhuun thā jo pilāyā gayā mujhe
jab sair ho gayā to batāyā gayā mujhe
kyā shahr thā ki rukte hī ik bhiiḌ lag ga.ī
fauran hī rāste se haTāyā gayā mujhe
ik dūsre ko dekh na sakte the rāste
donoñ ke darmiyān basāyā gayā mujhe
Duube hue makān kī chhat par khaḌā thā maiñ
manzar meñ naqsh-e-āb dikhāyā gayā mujhe
sāhil pe lā ke rāsta us paar ho gayā
dariyā meñ Dūbne se bachāyā gayā mujhe
ik roz merī had kā ta.ayyun kiyā gayā
phir ek roz had se baḌhāyā gayā mujhe
talwar khinchte hue paya gaya mujhe
qatil bana ke hosh mein laya gaya mujhe
mera hi KHun tha jo pilaya gaya mujhe
jab sair ho gaya to bataya gaya mujhe
kya shahr tha ki rukte hi ek bhiD lag gai
fauran hi raste se haTaya gaya mujhe
ek dusre ko dekh na sakte the raste
donon ke darmiyan basaya gaya mujhe
Dube hue makan ki chhat par khaDa tha main
manzar mein naqsh-e-ab dikhaya gaya mujhe
sahil pe la ke rasta us par ho gaya
dariya mein Dubne se bachaya gaya mujhe
ek roz meri had ka tayyun kiya gaya
phir ek roz had se baDhaya gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.