tam sath ho to kuchh nahin KHauf-o-KHatar mujhe
tam sath ho to kuchh nahin KHauf-o-KHatar mujhe
Tahavvur Ali Zaidi
MORE BYTahavvur Ali Zaidi
tam saath ho to kuchh nahīñ ḳhauf-o-ḳhatar mujhe
kaafī hai ik charāġh sar-e-rahguzar mujhe
sajdoñ ko rabt-e-ḳhās hai jab pā-e-nāz se
jannat se bhī sivā hai tirī rahguzar mujhe
vā ho dar-e-qafas bhī to kyā is se fā.eda
jab kar diyā hai aap ne be-bāl-o-par mujhe
tanhā tirī talāsh meñ pahuñchā tire huzūr
is raah meñ milā na koī ham-safar mujhe
rang-e-jamāl kaif-e-tajallī faroġh-e-husn
lekin kahāñ hai fursat-e-zauq-e-nazar mujhe
pahuñchā hai us maqām pe un kā sitam ki ab
nashtar se kam nahīñ hai karam kī nazar mujhe
gulshan ko chhoḌnā thā ki ye haal ho gayā
ik ik se pūchhtī hai nasīm-e-sahar mujhe
'zaidī' fuzūl haiñ mire shikve gile tamām
ġham bhī diyā hai us ne to kuchh jaan kar mujhe
tam sath ho to kuchh nahin KHauf-o-KHatar mujhe
kafi hai ek charagh sar-e-rahguzar mujhe
sajdon ko rabt-e-KHas hai jab pa-e-naz se
jannat se bhi siwa hai teri rahguzar mujhe
wa ho dar-e-qafas bhi to kya is se faeda
jab kar diya hai aap ne be-baal-o-par mujhe
tanha teri talash mein pahuncha tere huzur
is rah mein mila na koi ham-safar mujhe
rang-e-jamal kaif-e-tajalli farogh-e-husn
lekin kahan hai fursat-e-zauq-e-nazar mujhe
pahuncha hai us maqam pe un ka sitam ki ab
nashtar se kam nahin hai karam ki nazar mujhe
gulshan ko chhoDna tha ki ye haal ho gaya
ek ek se puchhti hai nasim-e-sahar mujhe
'zaidi' fuzul hain mere shikwe gile tamam
gham bhi diya hai us ne to kuchh jaan kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.