tamam aish-o-tarab aur sukun ek taraf
tamām aish-o-tarab aur sukūn ek taraf
atā-e-ishq hamārā junūn ek taraf
makāñ meñ khiḌkiyāñ dīvār-o-dar zarūrī haiñ
magar jo roke hai chhat vo sutūn ek taraf
isī mahīne meñ tum chhoḌ kar ga.e the mujhe
nikāl dūñgī calender se june ek taraf
maiñ zindagī ke sabaq ek or rakhtī huuñ
tamām hikmat-o-ilm-o-funūn ek taraf
hai ek aur ishāra tirī nigāhoñ kā
zamāna bhar ke sabhī aflātūn ek taraf
banā ke bhejūñgī is baar ishq kā sweater
nikāl ke abhī rakh lī hai uun ek taraf
ragoñ meñ vaise to har vaqt dauḌtā hai 'shikhā'
magar jo aañkh se Tapkā vo ḳhuun ek taraf
tamam aish-o-tarab aur sukun ek taraf
ata-e-ishq hamara junun ek taraf
makan mein khiDkiyan diwar-o-dar zaruri hain
magar jo roke hai chhat wo sutun ek taraf
isi mahine mein tum chhoD kar gae the mujhe
nikal dungi calender se june ek taraf
main zindagi ke sabaq ek or rakhti hun
tamam hikmat-o-ilm-o-funun ek taraf
hai ek aur ishaara teri nigahon ka
zamana bhar ke sabhi aflatun ek taraf
bana ke bhejungi is bar ishq ka sweater
nikal ke abhi rakh li hai un ek taraf
ragon mein waise to har waqt dauDta hai 'shikha'
magar jo aankh se Tapka wo KHun ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.