tamam bughz adawat chhupa ke lahje mein
tamām buġhz 'adāvat chhupā ke lahje meñ
vo boltā hai kisī rahnumā ke lahje meñ
'ajīb karb-o-balā hai fazā ke lahje meñ
ye kaun chīḳh paḌā hai du'ā ke lahje meñ
diloñ meñ garmī-e-ehsās de ga.ī sab ke
kuchh aisī baat kahī hai du'ā ke lahje meñ
na jaane ḳhalq-e-ḳhudā kis hisāb meñ rakh le
vo boltā hai bahut āshnā ke lahje meñ
ye kaisī bū-e-'adāvat tamām phail ga.ī
ye kaisā zahr ghulā hai havā ke lahje meñ
vo saḳht dil hai magar saḳht bhī nahīñ itnā
zarā jo baat karo iltijā ke lahje meñ
tamam bughz 'adawat chhupa ke lahje mein
wo bolta hai kisi rahnuma ke lahje mein
'ajib karb-o-bala hai faza ke lahje mein
ye kaun chiKH paDa hai du'a ke lahje mein
dilon mein garmi-e-ehsas de gai sab ke
kuchh aisi baat kahi hai du'a ke lahje mein
na jaane KHalq-e-KHuda kis hisab mein rakh le
wo bolta hai bahut aashna ke lahje mein
ye kaisi bu-e-'adawat tamam phail gai
ye kaisa zahr ghula hai hawa ke lahje mein
wo saKHt dil hai magar saKHt bhi nahin itna
zara jo baat karo iltija ke lahje mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.