tamam dard ke rishte bahaal rakhte hain
tamam dard ke rishte bahaal rakhte hain
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
tamām dard ke rishte bahāl rakhte haiñ
ham uñgliyoñ pe abhī māh-o-sāl rakhte haiñ
kahīñ se koī vasīla zarūr niklegā
bichhaḌ ke tujh se umīd-e-visāl rakhte haiñ
na koī chhat hai na khiḌkī na koī darvāza
ham apnā ghar bhī baḌā be-misāl rakhte haiñ
talāsh-e-rizq meñ uḌte haiñ chār-sū lekin
parind apnī nigāhoñ meñ jaal rakhte haiñ
hamāre apne khilaune nahīñ to kyā ġham hai
tamām bachchoñ kī ham dekh-bhāl rakhte haiñ
ye imtiyāz bhī kuchh kam nahīñ hai ai 'rāhī'
jo shai bhī rakhte haiñ ham be-misāl rakhte haiñ
tamam dard ke rishte bahaal rakhte hain
hum ungliyon pe abhi mah-o-sal rakhte hain
kahin se koi wasila zarur niklega
bichhaD ke tujh se umid-e-visal rakhte hain
na koi chhat hai na khiDki na koi darwaza
hum apna ghar bhi baDa be-misal rakhte hain
talash-e-rizq mein uDte hain chaar-su lekin
parind apni nigahon mein jal rakhte hain
hamare apne khilaune nahin to kya gham hai
tamam bachchon ki hum dekh-bhaal rakhte hain
ye imtiyaz bhi kuchh kam nahin hai ai 'rahi'
jo shai bhi rakhte hain hum be-misal rakhte hain
- Book : سائبان غزل (Pg. 61)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.