tamam din mujhe kaif-e-sharab rahta hai
tamām din mujhe kaif-e-sharāb rahtā hai
buland chār-pahar āftāb rahtā hai
khulā ye va.ada-e-fardā ai hashr se ham ko
kahīñ bhī husn miyān-e-naqāb rahtā hai
tire gale ko kahūñ kis tarah bahisht ai huur
yahāñ to jaan pe har dam azaab rahtā hai
vo āshiqoñ ko barābar kahāñ samajhte haiñ
kisī pe lutf kisī par itaab rahtā hai
tirī talāsh meñ jo koī sarī'us-sair
kab ek jā sifat-e-māhtāb rahtā hai
ġhurūr badr ko kyā ho kamāl par apne
jahāñ meñ kis kā hamesha shabāb rahtā hai
mirī taraf se vo karvaT badal sake sote meñ
visāl meñ bhī mujhe iztirāb rahtā hai
ġhash aate haiñ mujhe paiham firāq saaqī meñ
evaz sharāb ke ḳhum meñ gulāb rahtā hai
zamāna-e-vasl to furqat bhī koī dam kī hai
har ek shai ko yahāñ inqalāb rahtā hai
tumhārī āriz-e-rañgīñ ko jab se dekhā hai
chaman meñ zard gul-e-āftāb rahtā hai
vo bahr-e-husn hai jaise kināra-kash ham se
dam apnī āñkhoñ meñ shakl-e-habāb rahtā hai
mirā shabāb kā piirī meñ bhuul jaatā hai
sahar ko yaad bhalā kab ye ḳhvāb rahtā hai
hosh jis ke hī dair-o-haram meñ logoñ ko
hamāre dil meñ vo ḳhāna-ḳharāb rahtā hai
visāl meñ ho maza kyoñ na bāda-ḳhvārī kā
hameñ lihāz na un ko hijāb rahtā hai
ye daur-e-bāda hai imsāl bazm-e-ālam meñ
ki dast-e-'kaif' meñ jām-e-sharāb rahtā hai
tamam din mujhe kaif-e-sharab rahta hai
buland chaar-pahar aaftab rahta hai
khula ye wada-e-farda ai hashr se hum ko
kahin bhi husn miyan-e-naqab rahta hai
tere gale ko kahun kis tarah bahisht ai hur
yahan to jaan pe har dam azab rahta hai
wo aashiqon ko barabar kahan samajhte hain
kisi pe lutf kisi par itab rahta hai
teri talash mein jo koi sari'us-sair
kab ek ja sifat-e-mahtab rahta hai
ghurur badr ko kya ho kamal par apne
jahan mein kis ka hamesha shabab rahta hai
meri taraf se wo karwaT badal sake sote mein
visal mein bhi mujhe iztirab rahta hai
ghash aate hain mujhe paiham firaq saqi mein
ewaz sharab ke KHum mein gulab rahta hai
zamana-e-wasl to furqat bhi koi dam ki hai
har ek shai ko yahan inqalab rahta hai
tumhaari aariz-e-rangin ko jab se dekha hai
chaman mein zard gul-e-aftab rahta hai
wo bahr-e-husn hai jaise kinara-kash hum se
dam apni aankhon mein shakl-e-habab rahta hai
mera shabab ka piri mein bhul jata hai
sahar ko yaad bhala kab ye KHwab rahta hai
hosh jis ke hi dair-o-haram mein logon ko
hamare dil mein wo KHana-KHarab rahta hai
visal mein ho maza kyon na baada-KHwari ka
hamein lihaz na un ko hijab rahta hai
ye daur-e-baada hai imsal bazm-e-alam mein
ki dast-e-'kaif' mein jam-e-sharab rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.