tamam dost to aae the wapsi ke liye
tamām dost to aa.e the vāpsī ke liye
maiñ aur bulb haiñ āḳhir meñ raushnī ke liye
jise maiñ jītne kī baat kar rahā huuñ dost
vo khel hai hī nahīñ aam aadmī ke liye
kisī ke ghar kā agar shams Duub jaatā hai
charāġh jalte haiñ us ghar ke raushnī ke liye
ye pahlī raat hai maiñ is qadar huā huuñ ġharīb
nahīñ hai mujh pe koī vaj.h ḳhud-kushī ke liye
vo mere paas thī itne ki saañs lagtī thī
nadī ke paas maiñ taḌpā huuñ tishnagī ke liye
tumheñ to achchhe-bure vaqt kī paḌī hai yahāñ
taras ga.e haiñ ka.ī log ik ghaḌī ke liye
kisī kisī pe ye vahshat savār hotī hai
ki mere sher nahīñ hote har kisī ke liye
tamam dost to aae the wapsi ke liye
main aur bulb hain aaKHir mein raushni ke liye
jise main jitne ki baat kar raha hun dost
wo khel hai hi nahin aam aadmi ke liye
kisi ke ghar ka agar shams Dub jata hai
charagh jalte hain us ghar ke raushni ke liye
ye pahli raat hai main is qadar hua hun gharib
nahin hai mujh pe koi wajh KHud-kushi ke liye
wo mere pas thi itne ki sans lagti thi
nadi ke pas main taDpa hun tishnagi ke liye
tumhein to achchhe-bure waqt ki paDi hai yahan
taras gae hain kai log ek ghaDi ke liye
kisi kisi pe ye wahshat sawar hoti hai
ki mere sher nahin hote har kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.