tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat
tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat
Sarwar Alam Raz
MORE BYSarwar Alam Raz
tamām duniyā meñ DhūñD aayā maiñ gum-shuda zindagī kī sūrat
milī to mujh ko hayāt-e-muztar magar milī ajnabī kī sūrat
sabaq hai sīkhā ham ahl-e-dil ne ye ijz kī sar-bulandiyoñ se
ki ek sajda hai kaafī lekin ho bandagī bandagī kī sūrat
ajiib dastūr-e-āshiqī hai na maiñ hī maiñ huuñ na tum hī tum ho
na dostī dostī kī sūrat na dushmanī dushmanī kī sūrat
ḳhabar tasavvur ḳhayāl īmāñ gumāñ yaqīñ fikr ilm hikmat
maqām-e-ḳhud-āgahī ke aage savād-e-kam-āgahī kī sūrat
barahna-sar ābla-gazīda shikasta-dil pairahan-darīda
maqām-e-sidra pe soch meñ huuñ koī hai parda-darī kī sūrat
milā sar-e-rāh ḳhud se jab maiñ ajiib hī apnā haal dekhā
kisī kī āñkheñ kisī kā chehra nazar kisī kī kisī kī sūrat
na pūchh mujh se ki maiñ kahāñ huuñ mujhe to kuchh bhī patā nahīñ hai
ki apnī sūrat meñ aa rahī hai nazar mujhe har kisī kī sūrat
ye sach hai duniyā meñ aur hoñge jamīl-o-ḳhush-rū hasīn-o-dilbar
pasand aa.ī magar hameñ to janāb-e-man aap kī hī sūrat
na jaane kab se khaḌā thā 'sarvar' ik āstīn-e-umīd thāme
vo niklā ḳhud se hī ġhair-hāzir huī ajab hāzirī kī sūrat
tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat
mili to mujh ko hayat-e-muztar magar mili ajnabi ki surat
sabaq hai sikha hum ahl-e-dil ne ye ijz ki sar-bulandiyon se
ki ek sajda hai kafi lekin ho bandagi bandagi ki surat
ajib dastur-e-ashiqi hai na main hi main hun na tum hi tum ho
na dosti dosti ki surat na dushmani dushmani ki surat
KHabar tasawwur KHayal iman guman yaqin fikr ilm hikmat
maqam-e-KHud-agahi ke aage sawad-e-kam-agahi ki surat
barahna-sar aabla-gazida shikasta-dil pairahan-darida
maqam-e-sidra pe soch mein hun koi hai parda-dari ki surat
mila sar-e-rah KHud se jab main ajib hi apna haal dekha
kisi ki aankhen kisi ka chehra nazar kisi ki kisi ki surat
na puchh mujh se ki main kahan hun mujhe to kuchh bhi pata nahin hai
ki apni surat mein aa rahi hai nazar mujhe har kisi ki surat
ye sach hai duniya mein aur honge jamil-o-KHush-ru hasin-o-dilbar
pasand aai magar hamein to janab-e-man aap ki hi surat
na jaane kab se khaDa tha 'sarwar' ek aastin-e-umid thame
wo nikla KHud se hi ghair-hazir hui ajab haziri ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.