tamam falsafe baatil bana diye gae hain
tamām falsafe bātil banā diye ga.e haiñ
aur ahl-e-ilm bhī qātil banā diye ga.e haiñ
aqīda oḌhne vaale to the barahna ruuh
faqīr log bhī ġhāfil banā diye ga.e haiñ
kisī kā dhyān gayā kyoñ na mā-sa'ā kī taraf
duā ke naam pe kāhil banā diye ga.e haiñ
utāq-e-zehn kī dīvāreñ ḳhuuñ se lat-pat haiñ
parinde photo meñ ghā.il banā diye ga.e haiñ
ḳhabar milī thī use giilī ret bhātī hai
tamām shahr meñ sāhil banā diye ga.e haiñ
tamam falsafe baatil bana diye gae hain
aur ahl-e-ilm bhi qatil bana diye gae hain
aqida oDhne wale to the barahna ruh
faqir log bhi ghafil bana diye gae hain
kisi ka dhyan gaya kyon na ma-sa'a ki taraf
dua ke nam pe kahil bana diye gae hain
utaq-e-zehn ki diwaren KHun se lat-pat hain
parinde photo mein ghail bana diye gae hain
KHabar mili thi use gili ret bhati hai
tamam shahr mein sahil bana diye gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.