Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

Faiz Khalilabadi

tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

Faiz Khalilabadi

MORE BYFaiz Khalilabadi

    tamām husn-o-ma.ānī rañg uḌne lagā

    khilī jo dhuup to paanī rañg uḌne lagā

    ishārā kartī haiñ chehre jhurriyāñ chup-chāp

    to kyā badan se javānī rañg uḌne lagā

    jadīd rañg meñ aayā jo misra-e-ūlā

    hasad se misra-e-sānī rañg uḌne lagā

    kitāb-e-zīst ke mafhūm ko samajhte

    yahāñ baḌe baḌe gyānī rañg uḌne lagā

    jo dā.imī thā vahī rah gayā hai zehnoñ meñ

    jo aarzī thā kahānī rañg uḌne lagā

    mirī nazar se milī 'faiz' jab nazar us

    to mere dushman-e-jānī rañg uḌne lagā

    tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

    khili jo dhup to pani ka rang uDne laga

    ishaara karti hain chehre ki jhurriyan chup-chap

    to kya badan se jawani ka rang uDne laga

    jadid rang mein aaya jo misra-e-ula

    hasad se misra-e-sani ka rang uDne laga

    kitab-e-zist ke mafhum ko samajhte hi

    yahan baDe baDe gyani ka rang uDne laga

    jo daimi tha wahi rah gaya hai zehnon mein

    jo aarzi tha kahani ka rang uDne laga

    meri nazar se mili 'faiz' jab nazar us ki

    to mere dushman-e-jaani ka rang uDne laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now