tamam jism hi ghayal tha par nishan na tha
tamām jism hī ghāyal thā par nishān na thā
gavāh sab the magar haq meñ ik bayān na thā
yahī sunā hai mahalle ke sab buzurgoñ se
lagān khet kā thā nasl par lagān na thā
samajh lo paañv meñ bīnā.ī rakh ke dekhā hai
pahāḌī raah thī lekin kahīñ Dhalān na thā
kahā thā jab kī hamārī uḌaan ūñchī hai
nahīñ pata kī yaqīñ kitnā par gumān na thā
tire surūr meñ uTh kar nikal ga.e ghar se
magar ḳhumār saḌak par thā mujh ko dhyān na thā
tumhāre 'ishq ne goyā.ī ko nikhārā hai
ġhazal-sarā.ī thī lekin maiñ ḳhush-zabān na thā
tamam jism hi ghayal tha par nishan na tha
gawah sab the magar haq mein ek bayan na tha
yahi suna hai mahalle ke sab buzurgon se
lagan khet ka tha nasl par lagan na tha
samajh lo panw mein binai rakh ke dekha hai
pahaDi rah thi lekin kahin Dhalan na tha
kaha tha jab ki hamari uDan unchi hai
nahin pata ki yaqin kitna par guman na tha
tere surur mein uTh kar nikal gae ghar se
magar KHumar saDak par tha mujh ko dhyan na tha
tumhaare 'ishq ne goyai ko nikhaara hai
ghazal-sarai thi lekin main KHush-zaban na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.