tamam kaif-e-tarannum baghair saz hun main
Interesting Fact
January, 1939
tamām kaif-e-tarannum baġhair saaz huuñ maiñ
jo be-niyāz-e-haqīqat hai vo majāz huuñ maiñ
mire niyāz kī azmat kisī ko kyā mālūm
mizāj-e-nāz hai mujh se dimāġh-e-nāz huuñ maiñ
tujhe gumān ki parda-ba-parda terā vajūd
mujhe yaqīn ki rāz-e-darūn-e-rāz huuñ maiñ
badal gayā hai taḳhayyul hī ishq kā varna
niyāz-mand hai tū aur be-niyāz huuñ maiñ
mirī ḳhatā thī na dete agar nigāh mujhe
nigāh dī hai to majbūr-e-imtiyāz huuñ maiñ
dikhā.e bhī to haqīqat kahīñ mujhe vo maqām
jahāñ pe qā.il-e-majbūrī-e-majāz huuñ maiñ
hanūz roz-e-azal se zabāñ pe jaarī hai
nahīñ jo ḳhatm vo afsāna-e-darāz huuñ maiñ
dil-e-ġhanī ko mire hirs-o-āz se nisbat
ba-rang-e-sabza-e-begāna be-niyāz huuñ maiñ
majāz apnī jagah maz.har-e-haqīqat hai
haqīqatoñ se jo baalā hai vo majāz huuñ maiñ
abas ye kāvisheñ dair-o-haram ko haiñ mujh se
hazār rind sahī phir bhī pāk-bāz huuñ maiñ
milā ke aañkh zarā is taraf ho mahv-e-kalām
ye kyā kahā ki haqīqat hai tū majāz huuñ maiñ
bahut latīf haiñ merī haqīqateñ 'tālib'
hijāb-e-sāz meñ goyā navā-e-sāz huuñ maiñ
tamam kaif-e-tarannum baghair saz hun main
jo be-niyaz-e-haqiqat hai wo majaz hun main
mere niyaz ki azmat kisi ko kya malum
mizaj-e-naz hai mujh se dimagh-e-naz hun main
tujhe guman ki parda-ba-parda tera wajud
mujhe yaqin ki raaz-e-darun-e-raaz hun main
badal gaya hai taKHayyul hi ishq ka warna
niyaz-mand hai tu aur be-niyaz hun main
meri KHata thi na dete agar nigah mujhe
nigah di hai to majbur-e-imtiyaz hun main
dikhae bhi to haqiqat kahin mujhe wo maqam
jahan pe qail-e-majburi-e-majaz hun main
hanuz roz-e-azal se zaban pe jari hai
nahin jo KHatm wo afsana-e-daraaz hun main
dil-e-ghani ko mere hirs-o-az se nisbat
ba-rang-e-sabza-e-begana be-niyaz hun main
majaz apni jagah mazhar-e-haqiqat hai
haqiqaton se jo baala hai wo majaz hun main
abas ye kawishen dair-o-haram ko hain mujh se
hazar rind sahi phir bhi pak-baz hun main
mila ke aankh zara is taraf ho mahw-e-kalam
ye kya kaha ki haqiqat hai tu majaz hun main
bahut latif hain meri haqiqaten 'talib'
hijab-e-saz mein goya nawa-e-saz hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.