tamam lafz mujhe dastiyab the lekin
tamām lafz mujhe dastiyāb the lekin
savāl vo the ki jin ke javāb the lekin
zamīn-e-dil pe likhā harf sach rahā hogā
nuqūsh-e-ishq nazar ke sarāb the lekin
vo shahr jis ke sabhī rāviyoñ ne chain likhā
pale usī meñ ka.ī inqalāb the lekin
nikal rahe haiñ abu-jehl hī ke rishte-dār
kisī zamāne meñ ahl-e-kitāb the lekin
to kyā ki ishq kī qīmat pe chaḌh ga.e suulī
mirī nazar meñ vahī kāmyāb the lekin
jo sīñchte rahe rishte savāb kī ḳhātir
unhī ke hisse meñ kitne azaab the lekin
Thahar to jaate kisī manzil-e-hayāt pe ham
safar pe maut ke pā-ba-rikāb the lekin
har ek shaḳhs thā ḳhāroñ ke haar pahne hue
'hinā' qadam meñ sabhoñ ke gulāb the lekin
tamam lafz mujhe dastiyab the lekin
sawal wo the ki jin ke jawab the lekin
zamin-e-dil pe likha harf sach raha hoga
nuqush-e-ishq nazar ke sarab the lekin
wo shahr jis ke sabhi rawiyon ne chain likha
pale usi mein kai inqalab the lekin
nikal rahe hain abu-jehl hi ke rishte-dar
kisi zamane mein ahl-e-kitab the lekin
to kya ki ishq ki qimat pe chaDh gae suli
meri nazar mein wahi kaamyab the lekin
jo sinchte rahe rishte sawab ki KHatir
unhi ke hisse mein kitne azab the lekin
Thahar to jate kisi manzil-e-hayat pe hum
safar pe maut ke pa-ba-rikab the lekin
har ek shaKHs tha KHaron ke haar pahne hue
'hina' qadam mein sabhon ke gulab the lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.