tamam marke ab muKHtasar karunga main
tamām mā'rke ab muḳhtasar karūñgā maiñ
ye ek siina kahāñ tak sipar karūñgā maiñ
vahī 'asā kā ḳhudā hai vahī samundar hai
vo marhala koī degā to sar karūñgā maiñ
koī du'ā huuñ kisī aur se mu'āmla hai
sadā nahīñ ki samā'at meñ ghar karūñgā maiñ
purānī ḳhushbuoñ ab mere saath saath na aao
yahāñ se aglī rutoñ kā safar karūñgā maiñ
vo ik khañDar hai magar rāste meñ paḌtā hai
so ek raat vahāñ bhī basar karūñgā maiñ
ujaaḌ dasht meñ kuchh zindagī to paidā ho
ye ek chīḳh yahāñ bhī shajar karūñgā maiñ
tamam ma'rke ab muKHtasar karunga main
ye ek sina kahan tak sipar karunga main
wahi 'asa ka KHuda hai wahi samundar hai
wo marhala koi dega to sar karunga main
koi du'a hun kisi aur se mu'amla hai
sada nahin ki sama'at mein ghar karunga main
purani KHushbuon ab mere sath sath na aao
yahan se agli ruton ka safar karunga main
wo ek khanDar hai magar raste mein paDta hai
so ek raat wahan bhi basar karunga main
ujaD dasht mein kuchh zindagi to paida ho
ye ek chiKH yahan bhi shajar karunga main
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 120)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.