tamam marhala-e-fard-o-zat hona hai
tamām marhala-e-fard-o-zāt honā hai
salīb chaḌhne se pahle salīb Dhonā hai
hazār baar yazīdoñ se sāmnā hogā
hazār baar mujhe yuuñ hī qatl honā hai
abhī vo dāġh-e-garebāñ pe tabsira na kare
abhī to ḳhud use sābun se haath dhonā hai
sulagtī aag ke jañgal kā ik shajar huuñ maiñ
mirā vajūd yaqīnan sarāb honā hai
hamāre log asīrān-e-sho.abada-bāzī
hamāre shahr meñ dānish-varī kā ronā hai
ye jins-e-jāñ ki abhī rā.egāñ nahīñ 'mohsin'
kured paao to miTTī tamām sonā hai
tamam marhala-e-fard-o-zat hona hai
salib chaDhne se pahle salib Dhona hai
hazar bar yazidon se samna hoga
hazar bar mujhe yun hi qatl hona hai
abhi wo dagh-e-gareban pe tabsira na kare
abhi to KHud use sabun se hath dhona hai
sulagti aag ke jangal ka ek shajar hun main
mera wajud yaqinan sarab hona hai
hamare log asiran-e-shoabada-bazi
hamare shahr mein danish-wari ka rona hai
ye jins-e-jaan ki abhi raegan nahin 'mohsin'
kured pao to miTTi tamam sona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.