tamam muddat tu jis ki KHatir KHuda raha hai
tamām muddat tū jis kī ḳhātir ḳhudā rahā hai
vo ab mire dar pe aa ke sar ko jhukā rahā hai
dikhā rahā thā maiñ jis ko manzil kī kab se rāheñ
vo baḌh ke aage mire hī raste meñ aa rahā hai
ḳhudā ko maano na maano vo sab tumhārī marzī
magar koī hai yahāñ jo sab kuchh chalā rahā hai
maiñ ab yahāñ pe dobāra aane se Dar rahā huuñ
aur ek tū hai jo is ko duniyā batā rahā hai
nigāh baḳhshī hai jis ko maiñ ne dikhā.ī duniyā
vo aaj dekho mujhī ko āñkheñ dikhā rahā hai
tumheñ banā ke bachī jo miTTī ḳhudā usī se
hasīn logoñ ke saare zevar banā rahā hai
tamam muddat tu jis ki KHatir KHuda raha hai
wo ab mere dar pe aa ke sar ko jhuka raha hai
dikha raha tha main jis ko manzil ki kab se rahen
wo baDh ke aage mere hi raste mein aa raha hai
KHuda ko mano na mano wo sab tumhaari marzi
magar koi hai yahan jo sab kuchh chala raha hai
main ab yahan pe dobara aane se Dar raha hun
aur ek tu hai jo is ko duniya bata raha hai
nigah baKHshi hai jis ko main ne dikhai duniya
wo aaj dekho mujhi ko aankhen dikha raha hai
tumhein bana ke bachi jo miTTi KHuda usi se
hasin logon ke sare zewar bana raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.