tamam nekiyan dariya mein Dalne ke liye
tamām nekiyāñ dariyā meñ Dālne ke liye
nikal paḌe haiñ samundar khañgālne ke liye
sitam to ye hai ke tesha nahīñ milā ham ko
pahāḌ kaaT ke rastā nikālne ke liye
na jaane kitnoñ kī qīmat girā.ī jaatī hai
amīr-e-shahr kī qīmat uchhālne ke liye
ham aise logoñ ko laayā gayā hai duniyā meñ
kueñ meñ kuud ke sikka nikālne ke liye
kisī ke hijr kī ham aag piite rahte haiñ
sulagte lafzoñ ko ġhazloñ meñ Dhālne ke liye
zarā sañbhālnā aa jaa.e aadmī ko agar
to ek ġham hī bahut hai sañbhālne ke liye
tamam nekiyan dariya mein Dalne ke liye
nikal paDe hain samundar khangalne ke liye
sitam to ye hai ke tesha nahin mila hum ko
pahaD kaT ke rasta nikalne ke liye
na jaane kitnon ki qimat girai jati hai
amir-e-shahr ki qimat uchhaalne ke liye
hum aise logon ko laya gaya hai duniya mein
kuen mein kud ke sikka nikalne ke liye
kisi ke hijr ki hum aag pite rahte hain
sulagte lafzon ko ghazlon mein Dhaalne ke liye
zara sanbhaalna aa jae aadmi ko agar
to ek gham hi bahut hai sanbhaalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.