tamam nusKHe badal chuka jab tab apni fitrat badal raha hun
tamām nusḳhe badal chukā jab tab apnī fitrat badal rahā huuñ
mirī tabī'at ke haiñ muḳhālif maiñ aise sāñchoñ meñ Dhal rahā huuñ
'amal register ke likhne vaale ye do farishte mujhe batā.eñ
ye kaun sab kuchh chalā rahā hai maiñ kis kī marzī se chal rahā huuñ
kabhī to ban kar ke abr-e-bārāñ maiñ pyāse logoñ meñ jā barastā
magar maiñ apnī anā kā ḳhādim kueñ ke jaisā aTal rahā huuñ
vo ik nazariye se dekhtā thā so ab nazariya badal gayā hai
to us ko lagne lagā hai jaise maiñ rafta-rafta badal rahā huuñ
muḳhālifat kī ḳhalish ne merī hayāt jab lā-‘ilāj kar dī
jidhar ko duniyā kī Dhaal thī ab usī taraf maiñ phisal rahā huuñ
mirī haqīqat pe thiiñ musallat vo saarī parteñ udhaḌ rahī haiñ
mujhe ḳhabar bhī nahīñ thī yaaro maiñ ḳhud meñ jaisā nikal rahā huuñ
nayā chalan hai ki hukmarānoñ ko bad-gumānī ye ho ga.ī hai
ki ek adnā ġhulām huuñ maiñ aur un ke TukḌoñ pe pal rahā huuñ
tamam nusKHe badal chuka jab tab apni fitrat badal raha hun
meri tabi'at ke hain muKHalif main aise sanchon mein Dhal raha hun
'amal register ke likhne wale ye do farishte mujhe bataen
ye kaun sab kuchh chala raha hai main kis ki marzi se chal raha hun
kabhi to ban kar ke abr-e-baran main pyase logon mein ja barasta
magar main apni ana ka KHadim kuen ke jaisa aTal raha hun
wo ek nazariye se dekhta tha so ab nazariya badal gaya hai
to us ko lagne laga hai jaise main rafta-rafta badal raha hun
muKHalifat ki KHalish ne meri hayat jab la-‘ilaj kar di
jidhar ko duniya ki Dhaal thi ab usi taraf main phisal raha hun
meri haqiqat pe thin musallat wo sari parten udhaD rahi hain
mujhe KHabar bhi nahin thi yaro main KHud mein jaisa nikal raha hun
naya chalan hai ki hukmaranon ko bad-gumani ye ho gai hai
ki ek adna ghulam hun main aur un ke TukDon pe pal raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.