tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman
tamām nūr-e-tajallī tamām rang-e-chaman
ye terā chāñd sā chehra ye terā gul sā badan
na Dagmagā.e qadam garche rāh-e-ulfat meñ
kahīñ the dasht-o-bayābāñ kahīñ the dār-o-rasan
hazār aa.e zamāne meñ inqalāb magar
mizāj husn kā badlā na 'ishq hī kā chalan
sabāt-o-sabr zarūrī hai aadmī ke liye
shikan jabīñ pe na aa.e ba-vaqt-e-ranj-o-mehan
ye baat aur hai nāqid rahe zamāna magar
jahāñ se miT nahīñ sakte nuqūsh-e-tesha-fan
mirā dayār hai mehr-o-vafā kā gahvāra
adū-e-mehr-o-mohabbat kā hai magar madfan
haqīqatoñ se ba-har-hāl jo gurez kare
vo shā'irī hai na hikmat na vo hunar hai na fan
har ik ko jaan zamāne meñ apnī pyārī hai
'azīz-tar hai magar ham ko jaan se bhī vatan
bahut hī shor thā rañgīnī-e-jahāñ kā magar
milā na ham ko yahāñ kuchh sivā-e-ranj-o-mehan
vo jān-e-husn-o-latāfat hī ban ke aayā hai
bahār ġhuncha-ba-ġhuncha sabā chaman-ba-chaman
hazār baar huā imtihān-e-'ishq magar
na jaane husn hai kyuuñ mujh se bad-gumāñ 'darshan'
tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman
ye tera chand sa chehra ye tera gul sa badan
na Dagmagae qadam garche rah-e-ulfat mein
kahin the dasht-o-bayaban kahin the dar-o-rasan
hazar aae zamane mein inqalab magar
mizaj husn ka badla na 'ishq hi ka chalan
sabaat-o-sabr zaruri hai aadmi ke liye
shikan jabin pe na aae ba-waqt-e-ranj-o-mehan
ye baat aur hai naqid rahe zamana magar
jahan se miT nahin sakte nuqush-e-tesha-fan
mera dayar hai mehr-o-wafa ka gahwara
adu-e-mehr-o-mohabbat ka hai magar madfan
haqiqaton se ba-har-haal jo gurez kare
wo sha'iri hai na hikmat na wo hunar hai na fan
har ek ko jaan zamane mein apni pyari hai
'aziz-tar hai magar hum ko jaan se bhi watan
bahut hi shor tha rangini-e-jahan ka magar
mila na hum ko yahan kuchh siwa-e-ranj-o-mehan
wo jaan-e-husn-o-latafat hi ban ke aaya hai
bahaar ghuncha-ba-ghuncha saba chaman-ba-chaman
hazar bar hua imtihan-e-'ishq magar
na jaane husn hai kyun mujh se bad-guman 'darshan'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.