tamam raat taDap kar nikal di maine
tamām raat taḌap kar nikāl dī maiñ ne
qazā bhī aa.ī jo sar par vo Taal dī maiñ ne
zamāna mere ta.āqub meñ kyoñ hai sargardāñ
kabhī se ḳhaak ye duniyā pe Daal dī maiñ ne
ḳhabar hai ishq ne jiinā sikhā diyā mujh ko
ye zindagī tire paikar meñ Dhaal dī maiñ ne
nikal bhī jā tū ujāloñ meñ saa.e kī sūrat
naqāb vaqt ke chehre pe Daal dī maiñ ne
pasīne aa ga.e 'māñjhī' kyoñ naav khete hue
vo ḳhūnī lahr thī taT par uchhāl dī maiñ ne
tamam raat taDap kar nikal di main ne
qaza bhi aai jo sar par wo Tal di main ne
zamana mere taaqub mein kyon hai sargardan
kabhi se KHak ye duniya pe Dal di main ne
KHabar hai ishq ne jina sikha diya mujh ko
ye zindagi tere paikar mein Dhaal di main ne
nikal bhi ja tu ujalon mein sae ki surat
naqab waqt ke chehre pe Dal di main ne
pasine aa gae 'manjhi' kyon naw khete hue
wo KHuni lahr thi taT par uchhaal di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.