tamam rang safedi pe tha siyahi ka
tamām rang safedī pe thā siyāhī kā
koī subūt na thā merī be-gunāhī kā
ba-juz sahar ke koī dūsrā charāġh na thā
yaqīn karnā paḌā raat kī gavāhī kā
baḌā gumān hai ḳhāna-ba-dosh logoñ ko
makān vāloñ kā da.avā hai sar-panāhī kā
charāġh-e-nām-o-nasab bujh gayā añdhere meñ
ġhurūr TuuT gayā saarī kaj-kulāhī kā
jahāñ se tum ne pukārā thā ham ko pahle-pahal
vahīñ kahīñ se chalā silsila tabāhī kā
ik aisā moḌ bhī paḌtā hai is galī meñ 'shakīl'
guzar huā na abhī tak jahāñ se raahī kā
tamam rang safedi pe tha siyahi ka
koi subut na tha meri be-gunahi ka
ba-juz sahar ke koi dusra charagh na tha
yaqin karna paDa raat ki gawahi ka
baDa guman hai KHana-ba-dosh logon ko
makan walon ka dawa hai sar-panahi ka
charagh-e-nam-o-nasab bujh gaya andhere mein
ghurur TuT gaya sari kaj-kulahi ka
jahan se tum ne pukara tha hum ko pahle-pahal
wahin kahin se chala silsila tabahi ka
ek aisa moD bhi paDta hai is gali mein 'shakil'
guzar hua na abhi tak jahan se rahi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.