tamam ret pe bikhra hai tan udasi ka
tamām ret pe bikhrā hai tan udāsī kā
vo lahar hai yā koī pairahan udāsī kā
hai ik darīcha jahāñ se vo dekhtī hai atiit
so lag gayā mire kamre meñ man udāsī kā
meñ us kī chhāñv meñ baiThūñ to jism jaltā hai
mire shajar pe lagā hai gahan udāsī kā
hamāre ishq ko qudrat ne jaan baḳhshī hai
tum ik sukūt ho aur maiñ huuñ ban udāsī kā
tumhāre hijr meñ ik maut aur us ke ba.ad
hamārī ruuh ne pakḌā badan udāsī kā
tamam ret pe bikhra hai tan udasi ka
wo lahar hai ya koi pairahan udasi ka
hai ek daricha jahan se wo dekhti hai atit
so lag gaya mere kamre mein man udasi ka
mein us ki chhanw mein baiThun to jism jalta hai
mere shajar pe laga hai gahan udasi ka
hamare ishq ko qudrat ne jaan baKHshi hai
tum ek sukut ho aur main hun ban udasi ka
tumhaare hijr mein ek maut aur us ke baad
hamari ruh ne pakDa badan udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.