tamam shahr hai apna magar akela hun
tamām shahr hai apnā magar akelā huuñ
hai mere saath zamāna magar akelā huuñ
ajiib kaifiyat-e-be-qarārī-e-dil hai
hujūm-e-ġham kā hai narġha magar akelā huuñ
tumhāre aane se hī duur hogī tanhā.ī
hai terī yādoñ ne gherā magar akelā huuñ
chalā huuñ shahr-e-sitam meñ payām-e-amn liye
buland hai mirā jazba magar akelā huuñ
tū saath de to maiñ chhū luuñ bulandī-e-aflāk
mirā bhī azm hai ūñchā magar akelā huuñ
kuchh aur pyaar ke jharne baheñ to baat bane
maiñ huuñ ḳhulūs kā chashma magar akelā huuñ
na jaane kaisī hai qismat mujh ek qatre kī
huā huuñ shāmil-e-dariyā magar akelā huuñ
rah-e-vafā meñ koī ham-safar nahīñ merā
maiñ kārvāñ kā huuñ hissa magar akelā huuñ
kiyā na tark jahāñ ko huā na sahrā-navard
banā hai logoñ se rishta magar akelā huuñ
na jaane kho ga.ī apnā.iyat kahāñ 'ahsan'
lagā hai apnoñ kā mela magar akelā huuñ
tamam shahr hai apna magar akela hun
hai mere sath zamana magar akela hun
ajib kaifiyat-e-be-qarari-e-dil hai
hujum-e-gham ka hai nargha magar akela hun
tumhaare aane se hi dur hogi tanhai
hai teri yaadon ne ghera magar akela hun
chala hun shahr-e-sitam mein payam-e-amn liye
buland hai mera jazba magar akela hun
tu sath de to main chhu lun bulandi-e-aflak
mera bhi azm hai uncha magar akela hun
kuchh aur pyar ke jharne bahen to baat bane
main hun KHulus ka chashma magar akela hun
na jaane kaisi hai qismat mujh ek qatre ki
hua hun shamil-e-dariya magar akela hun
rah-e-wafa mein koi ham-safar nahin mera
main karwan ka hun hissa magar akela hun
kiya na tark jahan ko hua na sahra-naward
bana hai logon se rishta magar akela hun
na jaane kho gai apnaiyat kahan 'ahsan'
laga hai apnon ka mela magar akela hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.