Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam shahr ke logon ko ham-nawa karna

Humaira Rahman

tamam shahr ke logon ko ham-nawa karna

Humaira Rahman

MORE BYHumaira Rahman

    tamām shahr ke logoñ ko ham-navā karnā

    hamāre 'aks meñ parchhā.iyāñ bunā karnā

    'ajīb riit hai shahr-e-nigār-e-yārāñ

    ki pyaar kah ke 'adāvat ibtidā karnā

    jo apne ḳhvāb meñ kāsa-ba-dast paa.e ga.e

    unhī pe qarz hai apne liye du'ā karnā

    ham apne saare havāloñ se chhupte phirte haiñ

    hameñ 'azāb hai rastoñ meñ faisla karnā

    sadā ke haq meñ darīche tamām band hue

    kiran sikhāne lagī rauzanoñ ko karnā

    shab-e-siyah ne sitāroñ saath chhoḌ diyā

    kaThin huā hai musāfir ko rāsta karnā

    nayā bahāna hai masrūf ḳhud ko rakhne

    jahāñ charāġh jalānā vahīñ havā karnā

    ham apnī zaat imkān-bhar tahaffuz the

    ki ḳhud meñ utre to shakl-e-havā judā karnā

    'humairā' baḌhte hue dā.eroñ rang-e-hisār

    aur us pe ḳhauf ki jiine par iktifā karnā

    tamam shahr ke logon ko ham-nawa karna

    hamare 'aks mein parchhaiyan buna karna

    'ajib rit hai shahr-e-nigar-e-yaran ki

    ki pyar kah ke 'adawat ki ibtida karna

    jo apne KHwab mein kasa-ba-dast pae gae

    unhi pe qarz hai apne liye du'a karna

    hum apne sare hawalon se chhupte phirte hain

    hamein 'azab hai raston mein faisla karna

    sada ke haq mein dariche tamam band hue

    kiran sikhane lagi rauzanon ko wa karna

    shab-e-siyah ne sitaron ka sath chhoD diya

    kaThin hua hai musafir ko rasta karna

    naya bahana hai masruf KHud ko rakhne ka

    jahan charagh jalana wahin hawa karna

    hum apni zat ka imkan-bhar tahaffuz the

    ki KHud mein utre to shakl-e-hawa juda karna

    'humaira' baDhte hue daeron ka rang-e-hisar

    aur us pe KHauf ki jine par iktifa karna

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now