tamam shahr ko jo sach hai wo bataunga
tamām shahr ko jo sach hai vo batā.ūñgā
phir us kī jitnī bhī qīmat huī chukā.ūñgā
maiñ hijr vāloñ kā ik qāfila banā.ūñgā
tumhāre baa'd bhī jī kar tumheñ dikhā.ūñgā
jinhoñ ne mil ke mire haath kaaT Daale haiñ
unheñ ye Dar thā ki maiñ aa.ina banā.ūñgā
ye pahlā ishq bhulānā kaThin to hai lekin
kabhī tū aanā tujhe maiñ duā sikhā.ūñgā
tumhārī jiit ko bas dekhne kī ḳhvāhish hai
so haq pe ho ke bhī āḳhir meñ haar jā.ūñgā
us ek baat meñ kitnī baḌī aziyyat thī
jab us ne itnā kahā soch kar batā.ūñgā
isī sabab se maiñ logoñ se ab nahīñ miltā
'saġhīr' us ne kahā thā gale lagā.ūñgā
tamam shahr ko jo sach hai wo bataunga
phir us ki jitni bhi qimat hui chukaunga
main hijr walon ka ek qafila banaunga
tumhaare ba'd bhi ji kar tumhein dikhaunga
jinhon ne mil ke mere hath kaT Dale hain
unhen ye Dar tha ki main aaina banaunga
ye pahla ishq bhulana kaThin to hai lekin
kabhi tu aana tujhe main dua sikhaunga
tumhaari jit ko bas dekhne ki KHwahish hai
so haq pe ho ke bhi aaKHir mein haar jaunga
us ek baat mein kitni baDi aziyyat thi
jab us ne itna kaha soch kar bataunga
isi sabab se main logon se ab nahin milta
'saghir' us ne kaha tha gale lagaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.