tamam shahr mein hum hath-paon mar aae
tamām shahr meñ ham hāth-pāoñ maar aa.e
sukūn DhūñDne nikle the sogvār aa.e
chaman ke kāñToñ se kar lī hai dil-lagī ham ne
ḳhizāñ chaman meñ rahe chāhe ab bahār aa.e
khaḌī thī raste meñ dīvār-e-muflisī mere
kabhī jo bhūle se lamhāt-e-vasl-e-yār aa.e
nizām tere chaman kā ajiib hai kitnā
jo haq-parast the hisse meñ un ke daar aa.e
tamam shahr mein hum hath-paon mar aae
sukun DhunDne nikle the sogwar aae
chaman ke kanTon se kar li hai dil-lagi hum ne
KHizan chaman mein rahe chahe ab bahaar aae
khaDi thi raste mein diwar-e-muflisi mere
kabhi jo bhule se lamhat-e-wasl-e-yar aae
nizam tere chaman ka ajib hai kitna
jo haq-parast the hisse mein un ke dar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.