tamam shahr ne jhuTa shumar kar liya tha
tamām shahr ne jhūTā shumār kar liyā thā
pa ham ne phir bhī tirā e'tibār kar liyā thā
vo log jo mirī dīvāngī se ḳhā.if the
unhoñ ne bhī to junūñ iḳhtiyār kar liyā thā
vo hijr kāTnā mushkil sahī magar tum ne
zarā sī baat ko sar par savār kar liyā thā
sitam to ye hai kināre pe aa ke Duub ga.e
baḌe sukūn se dariyā to paar kar liyā thā
'nadīm' ham bhī zamāna-shanās ho ga.e the
‘adū-e-jān ko bhī apnā yaar kar liyā thā
tamam shahr ne jhuTa shumar kar liya tha
pa hum ne phir bhi tera e'tibar kar liya tha
wo log jo meri diwangi se KHaif the
unhon ne bhi to junun iKHtiyar kar liya tha
wo hijr kaTna mushkil sahi magar tum ne
zara si baat ko sar par sawar kar liya tha
sitam to ye hai kinare pe aa ke Dub gae
baDe sukun se dariya to par kar liya tha
'nadim' hum bhi zamana-shanas ho gae the
‘adu-e-jaan ko bhi apna yar kar liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.