tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai
tamām-tar usī ḳhāna-ḳharāb jaisā hai
mire lahū kā nasha bhī sharāb jaisā hai
nahā rahā huuñ maiñ us ke badan kī kirnoñ meñ
vo aadmī hai magar māhtāb jaisā hai
karūñ talāsh javāhar to ret haath aa.e
samundaroñ kā chalan bhī sarāb jaisā hai
jalā gayā mujhe apne badan kī ThanDak se
vo jis kā rañg dahakte gulāb jaisā hai
'qatīl' kām-o-dahan apnā saath deñ ki na deñ
vafā kā zā.iqa lekin shabāb jaisā hai
tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai
mere lahu ka nasha bhi sharab jaisa hai
naha raha hun main us ke badan ki kirnon mein
wo aadmi hai magar mahtab jaisa hai
karun talash jawahar to ret hath aae
samundaron ka chalan bhi sarab jaisa hai
jala gaya mujhe apne badan ki ThanDak se
wo jis ka rang dahakte gulab jaisa hai
'qatil' kaam-o-dahan apna sath den ki na den
wafa ka zaiqa lekin shabab jaisa hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 138)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.