tamam umr-e-rawan ka maal hairat hai
tamām umr-e-ravāñ kā ma.aal hairat hai
javāb jis kā nahīñ vo savāl hairat hai
dukān-e-chashm yahāñ be-misāl hairat hai
is aa.ine kā sarāsar kamāl hairat hai
ye zindagī to tire saath saath ḳhatm huī
jo mujh meñ baaqī hai vo lā-zavāl hairat hai
vo ḳhvāb aise the ta.abīr un kī thī hī nahīñ
ramīda hijr-e-gurezāñ visāl hairat hai
huī tilism-zada jab ye aa.ine ne kahā
yahāñ to saare kā saarā jamāl hairat hai
adam vajūd-e-adam uf ye silsile kaise
maiñ luT ga.ī huuñ magar mālā-māl hairat hai
ye kā.enāt hai hairān apne hone par
qadam qadam pe yahāñ mahv-e-hāl hairat hai
tamam umr-e-rawan ka maal hairat hai
jawab jis ka nahin wo sawal hairat hai
dukan-e-chashm yahan be-misal hairat hai
is aaine ka sarasar kamal hairat hai
ye zindagi to tere sath sath KHatm hui
jo mujh mein baqi hai wo la-zawal hairat hai
wo KHwab aise the tabir un ki thi hi nahin
ramida hijr-e-gurezan visal hairat hai
hui tilism-zada jab ye aaine ne kaha
yahan to sare ka sara jamal hairat hai
adam wajud-e-adam uf ye silsile kaise
main luT gai hun magar mala-mal hairat hai
ye kaenat hai hairan apne hone par
qadam qadam pe yahan mahw-e-haal hairat hai
- Book : ردائے ہجر (Pg. 43)
- Author : تسنیم عابدی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.