tamam umr guzari jise bachate hue
tamām umr guzārī jise bachāte hue
vo dil diyā use lamhoñ meñ muskurāte hue
kisī kā saarā safar ujlatoñ kī nazr huā
kisī ne sochā nahīñ thā qadam uThāte hue
har ek saañs ne rakkhā muġhālate meñ mujhe
maiñ ḳharch hotā gayā zindagī kamāte hue
kashīd raushnī kuchh log is se kar leñge
kisī ne sochā thā kab tīrgī banāte hue
nazar meñ rakhnā mire ḳhāl-o-ḳhad tasallī se
ai kūza-gar tū mujhe chaak par ghumāte hue
tamam umr guzari jise bachate hue
wo dil diya use lamhon mein muskuraate hue
kisi ka sara safar ujlaton ki nazr hua
kisi ne socha nahin tha qadam uThate hue
har ek sans ne rakkha mughaalate mein mujhe
main KHarch hota gaya zindagi kamate hue
kashid raushni kuchh log is se kar lenge
kisi ne socha tha kab tirgi banate hue
nazar mein rakhna mere KHal-o-KHad tasalli se
ai kuza-gar tu mujhe chaak par ghumate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.