tamam umr ka hasil hai be-basar hona
tamām umr kā hāsil hai be-basar honā
ziyāda is se bhī mushkil hai bā-ḳhabar honā
agar huā kahīñ be-faiz mausamoñ kā nuzūl
hare daraḳhtoñ kā mumkin hai be-samar honā
ġhamoñ kī dhuup se bachnā muhāl hai lekin
bahut zarūrī hai chhoTā sā ek ghar honā
ḳhud apne ghar meñ zarūrat kī shai hoñ kyā kam hai
nahīñ pasand mujhe bhī idhar udhar honā
tumhārā rakhnā hathelī charāġh kī lau par
mirā añdhere meñ rah kar bhī mo'atabar honā
hai siiñg āfiyat-e-shahr ko uThā.e hue
ajab hai chhoTe se ḳhadshe kā jānvar honā
tamam umr ka hasil hai be-basar hona
ziyaada is se bhi mushkil hai ba-KHabar hona
agar hua kahin be-faiz mausamon ka nuzul
hare daraKHton ka mumkin hai be-samar hona
ghamon ki dhup se bachna muhaal hai lekin
bahut zaruri hai chhoTa sa ek ghar hona
KHud apne ghar mein zarurat ki shai hon kya kam hai
nahin pasand mujhe bhi idhar udhar hona
tumhaara rakhna hatheli charagh ki lau par
mera andhere mein rah kar bhi mo'atabar hona
hai sing aafiyat-e-shahr ko uThae hue
ajab hai chhoTe se KHadshe ka jaanwar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.