tamam umr kabhi mujhse hal hua hi na tha
tamām umr kabhī mujh se hal huā hī na thā
vo mas.ala jo haqīqat meñ mas.ala hī na thā
badan se jis kī thakan aaj tak nahīñ utrī
maiñ us safar pe ravāna kabhī huā hī na thā
kuchh is liye bhī mujhe hijr meñ suhūlat hai
tirā visāl kabhī merā mudda.ā hī na thā
badan kā bhed khulā hai tirā badan chhū kar
ye misra.a mujh pe vagarna kabhī khulā hī na thā
isī liye to mujhe lauTnā paḌā 'sayyad'
ki mere paas koī aur rāsta hī na thā
tamam umr kabhi mujh se hal hua hi na tha
wo masala jo haqiqat mein masala hi na tha
badan se jis ki thakan aaj tak nahin utri
main us safar pe rawana kabhi hua hi na tha
kuchh is liye bhi mujhe hijr mein suhulat hai
tera visal kabhi mera muddaa hi na tha
badan ka bhed khula hai tera badan chhu kar
ye misra mujh pe wagarna kabhi khula hi na tha
isi liye to mujhe lauTna paDa 'sayyad'
ki mere pas koi aur rasta hi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.